hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge hum kahan jaenge

hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
har taraf ho rahi hai yahi guftugu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
har mata-e-nafas nazr-e-ahang ki hum ko yaran hawas thi bahut rang ki
gul-zamin se ubalne ko hai ab lahu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
awwal-e-shab ka mahtab bhi ja chuka sehn-e-mai-khana se ab ufuq mein kahin
aakhir-e-shab hai khali hain jam-o-subu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
koi hasil na tha aarzu ka magar saneha ye hai ab aarzu bhi nahin
waqt ki is masafat mein be-arzu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
kis qadar dur se laut kar aae hain yun kaho umr barbaad kar aae hain
tha sarab apna sarmaya-e-justuju tum kahan jaoge hum kahan jaenge
ek junun tha ki aabaad ho shahr-e-jaan aur aabaad jab shahr-e-jaan ho gaya
hain ye sargoshiyan dar-ba-dar ku-ba-ku tum kahan jaoge hum kahan jaenge
dasht mein raqs-e-shauq-e-bahaar ab kahan baad-paimai-e-diwana-war ab kahan
bas guzarne ko hai mausam-e-haw-hu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
hum hain ruswa-kun-e-dilli-o-lucknow apni kya zindagi apni kya aabru
'mir' dilli se nikalne gae lucknow tum kahan jaoge hum kahan jaenge

naya ek rishta paida kyun karen hum

naya ek rishta paida kyun karen hum
bichhadna hai to jhagda kyun karen hum
khamoshi se ada ho rasm-e-duri
koi hangama barpa kyun karen hum
ye kafi hai ki hum dushman nahin hain
wafa-dari ka dawa kyun karen hum
wafa ikhlas qurbani mohabbat
ab in lafzon ka pichha kyun karen hum
hamari hi tamanna kyun karo tum
tumhaari hi tamanna kyun karen hum
kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
to sari umr ifa kyun karen hum
nahin duniya ko jab parwa hamari
to phir duniya ki parwa kyun karen hum
ye basti hai musalmanon ki basti
yahan kar-e-masiha kyun karen hum

gahe gahe bas ab yahi ho kya

gahe gahe bas ab yahi ho kya
tum se mil kar bahut khushi ho kya
mil rahi ho bade tapak ke sath
mujh ko yaksar bhula chuki ho kya
yaad hain ab bhi apne khwab tumhein
mujh se mil kar udas bhi ho kya
bas mujhe yunhi ek khayal aaya
sochti ho to sochti ho kya
ab meri koi zindagi hi nahin
ab bhi tum meri zindagi ho kya
kya kaha ishq jawedani hai!
aakhiri bar mil rahi ho kya
han faza yan ki soi soi si hai
to bahut tez raushni ho kya
mere sab tanz be-asar hi rahe
tum bahut dur ja chuki ho kya
dil mein ab soz-e-intizar nahin
sham-e-ummid bujh gai ho kya
is samundar pe tishna-kaam hun main
ban tum ab bhi bah rahi ho kya

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close