har-chand apne aks ka dil dardmand ho
By sultan-akhtarNovember 22, 2020
har-chand apne aks ka dil dardmand ho
aaine ke labon pe agar zahr-e-khand ho
be-mehr aaftab ka darwaza band ho
aandhi zara thame to ghata sar-buland ho
har lamha us ki madh-sarai na kijiye
mumkin hai aisi baat use na-pasand ho
har gam hauslon ka yahi muddaa raha
gumrah zindagi ki masafat do-chand ho
'akhtar' main ikhtilaf ka qail nahin magar
ahbab ka mizaj hi jab shar-pasand ho
aaine ke labon pe agar zahr-e-khand ho
be-mehr aaftab ka darwaza band ho
aandhi zara thame to ghata sar-buland ho
har lamha us ki madh-sarai na kijiye
mumkin hai aisi baat use na-pasand ho
har gam hauslon ka yahi muddaa raha
gumrah zindagi ki masafat do-chand ho
'akhtar' main ikhtilaf ka qail nahin magar
ahbab ka mizaj hi jab shar-pasand ho
12539 viewsghazal • English