KHud-gharz ho ke apnon ke gham-KHwar hi raho
By abdullah-minhaj-khanMay 18, 2024
khud-gharz ho ke apnon ke gham-khwar hi raho
is par aa gae ho to is par hi raho
mahsus ho raha hai ki raushan-khayal ho
hum chahte hain tum bhi wafadar hi raho
tum hum ko dhundte ho zamane mein dar-ba-dar
ai kash tum hamare talabgar hi raho
tum se mujhe kabhi bhi shikayat nahin hui
tum ho hasin to husn ka me'yar hi raho
kyon phir rahe ho gham liye in be-wafaon ka
gham-khwar ho to in mein giraftar hi raho
har bar tum ko sab se bachate rahe hain hum
tum pad gae ho 'ishq mein lachaar hi raho
dar pe tumhaare aae kisi ki bisat kya
tum ret ke bhanwar mein bhi gulzar hi raho
har ek nazar mein kya hai ye sab jaante ho aap
har fan mein aap ba'is-e-fankar hi raho
afsos hai ki tum ne hamein yaad kar liya
bas is tarah se har ghadi dil-dar hi raho
hum ne tumhaare sath mein sab kar liye gunah
ab tum bhi mere sath gunahgar hi raho
main ne tumhaare she'r ko jab se padha hai dost
dil chahta hai sahab-e-guftar hi raho
mujh ko tumhaare husn se kuchh bhi nahin gharaz
tum is liye khafa ho to bezar hi raho
'minhaj' aa gaya hai wo tukdon ki shakl mein
us ko bana ke tum bhi samajh-dar hi raho

93923 viewsghazal • English