KHushnuma dhun pe raqam dard ke naghmat sa tha

By abhinandan-pandeyOctober 23, 2020
khushnuma dhun pe raqam dard ke naghmat sa tha
waqt-e-rukhsat bhi junun pahli mulaqat sa tha
jism ke dasht mein raqsan the mahakte hue zakhm
kal shab-e-hijr ka aalam shab-e-baraat sa tha


dil ke dariya mein thirakta tha teri yaad ka chand
shab ke honton pe tera zikr munajat sa tha
main to ek umr faqat us ke taaqub mein raha
jo meri zat mein maujud teri zat sa tha


lams-e-akhir mere kashkol-e-badan ki khatir
ek muflis ko mayassar hui khairaat sa tha
main tere shokh labon par to abhi aaya hun
is se pahle teri aankhon mein sawalat sa tha


jagmagate hue jugnu na ziyan hota charagh
raat mein kuchh bhi na tha jis ko kahen raat sa tha
75081 viewsghazalEnglish