ek chehlum par

By January 1, 2017
ek chehlum par
jamila ab uttho na aansu bahao
nahin waqt rone ka dariyan bichhao
ye duniya hai fani gaya jaane wala
wo rone se wapas nahin aane wala


na be-kar ab tum duhai machao
utho apne ghar mein safai karao
muazzaz muazzaz jo aaenge mehman
bahut nak aur bhaun chadhaengi amman


tum un ke liye jald huqqe mangao
miyan bhag kar chae lipton ki lao
wo sab aa ke izhaar-e-matam karenge
wo baithak mein roenge chae piyenge


sunaenge marhum ke wo fasane
ki lab bolne ko diye hain khuda ne
dulhan ne utara na tha surkh joda
ki dulha ne duniya-e-fani ko chhoda


bahut khub-surat bahut nek tha wo
hazaron jawanon mein bas ek tha wo
namaz ek bhi hargiz na us ne qaza ki
shab o roz karta ibaadat khuda ki


jidhar dekhte hain udhar gham hi gham hai
karen is ka jitna bhi matam wo kam hai
na ro ro ke behaal ho ai dulhan tu
na kar is qadar aah-o-ranj-o-mehan tu


wo jannat mein khushiyan manaega mat ro
wo huron se ab dil lagaega mat ro
jamila khuda ki qasam muskura de
teri be-qarari na hum ko rula de


raziyya zara garm chawal to lana
zakiyya zara thanda pani pilana
bahut khub-surat bahut nek tha wo
hazaron jawanon mein bas ek tha wo


jamila mujhe roghni nan dena
wo firni uthana wo pakwan dena
judai mein us ke hua dil diwana
ki lagta hai achchha na pina na khana


mangao polaw zara aur khala
badhana zara qorme ka piyala
jidhar dekhte hain udhar gham hi gham hai
karen is ka jitna bhi matam wo kam hai


wo nannhi ke zarde mein kishmish hai thodi
bahut der se mangti hai nigodi
wo tukda jigar ka tha aankhon ka tara
hamein apni aulad se bhi tha pyara


pada hai polaw mein ghee dalde ka
khuda tu hi hafiz hai mere gale ka
dulhan se kaho aah itni na roe
be-chaari na be-kar mein jaan khoe


ari botiyan tin salan mein tere
ye chhichhda likha tha muqaddar mein mere
bahut khub-surat bahut nek tha wo
hazaron jawanon mein bas ek tha wo


dulhan ghar mein churan agar hai to lana
nahin to zara khaari botal mangana
na kar bain itne na ro itna pyari
hamare kaleje pe chalti hai aari


40598 viewsnazmEnglish