kahte hain kabhi gosht na khata tha marri phal-phul pe karta tha hamesha guzar-auqat ek dost ne bhuna hua titar use bheja shayad ki wo shatir isi tarkib se ho mat ye khwan-e-tar-o-taza marri ne jo dekha kahne laga wo sahib-e-ghufran-o-luzumat ai murghak-e-bechaara zara ye to bata tu tera wo gunah kya tha ye hai jis ki mukafat? afsos-sad-afsos ki shahin na bana tu dekhe na teri aankh ne fitrat ke ishaaraat! taqdir ke qazi ka ye fatwa hai azal se hai jurm-e-zaifi ki saza marg-e-mufajat!