aaj panghaT pe ye gata hua kaun aa niklaShayari By Ahmad Nadeem Qasmi01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaaj panghat pe ye gata hua kaun aa nikla ladkiyan gagaren bharti hui ghabra si gain odhni sar pe jama kar wo subuhi utthi ankhdiyan chaar huin jhuk gain sharma si gain Continue Reading... Share on:
aaya tha bazm-e-sher mein arz-e-hunar ko mainShayari By Hafeez Jalandhari01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaaya tha bazm-e-sher mein arz-e-hunar ko main ab ja raha hun dhundne ahl-e-nazar ko main sar phodna kamal-e-junun bhi nahin raha baitha rahunga sar mein liye dard-e-sar ko main Continue Reading... Share on:
aarzu hai ki ab meri hastiShayari By Mahesh Chandra Naqsh01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaarzu hai ki ab meri hasti bahr-e-ulfat mein gharq ho jae be-niyaz-e-gham-e-jahan ho kar teri ranginiyon mein kho jae Continue Reading... Share on:
ab bhi ek lab mein aur tabassum meinShayari By Waseem Barelvi01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaab bhi ek lab mein aur tabassum mein hadd-e-fasil hai ek duri hai kitni sadiyan guzar chukin lekin zindagi aaj bhi adhuri hai Continue Reading... Share on:
aab-o-danaShayari By Khalid Irfan01 Jan 2017 12:30:00 PMQitakabhi watan mein hamara bhi aab-o-dana tha ye tab ki baat hai jab mulk mein khazana tha tamam bank luteron ne mil ke lut liye wo shakh hi na rahi jis pe aashiyana tha Continue Reading... Share on:
ab ishq nahin mushkil bas itna samajh lijeShayari By Saghar Khayyami01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaab ishq nahin mushkil bas itna samajh lije kab aag ka dariya hai kab tair ke jaana hai mayus na hun aashiq mil jaegi mashuqa bas itni si zahmat hai mobile uthana hai Continue Reading... Share on:
abhi ai dost zauq-e-shaeri hai wajh-e-ruswaiShayari By Habib Jalib01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaabhi ai dost zauq-e-shaeri hai wajh ruswai teri basti mein hum par aur bhi ilzam aaenge agar ab bhi hamara sath tu ai dil nahin dega to hum is shahr mein tujh ko akela chhod jaenge Continue Reading... Share on:
aadmi the shai hue sauda hueShayari By Prabudha Saurabh01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaadmi the shai hue sauda hue bad hue bad-tar hue be-ja hue kam hue kam-tar hue phir na hue is tarah hum ishq mein zaya hue Continue Reading... Share on:
abhi jawan hai gham-e-zindagi ka har lamhaShayari By Ali Sardar Jafri01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaabhi jawan hai gham-e-zindagi ka har lamha dhadak raha hai dil-e-be-qarar ki surat hasin o shokh hai mustaqbil-e-bashar ka khayal kisi tabassum-e-be-ikhtiyar ki surat Continue Reading... Share on:
aaj panghaT par is tarah thi bhiDShayari By Sabir Dutt01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaaj panghat par is tarah thi bhid har taraf ladkiyon ka rela tha ek aati thi ek jati thi jaise sawan mein tij mela tha Continue Reading... Share on:
ab kya bataen kya tha saman pairahan ke bichShayari By Ganesh Bihari Tarz01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaab kya bataen kya tha saman pairahan ke bich jazbaat ho rahe the jawan pairahan ke bich kya jhilmili bhi rokti gore badan ki aanch pighla hua tha shoala rawan pairahan ke bich Continue Reading... Share on:
aarzuShayari By Shaukat Pardesi01 Jan 2017 12:30:00 PMQitahar musafir talash karta hai apni manzil ko sham se pahle aarzu karwaten badalti hai zindagi ke qayam se pahle Continue Reading... Share on:
aap ki rah mein kya kya na saha tha humneShayari By Amir Usmani01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaap ki rah mein kya kya na saha tha hum ne aap ne phir bhi wafadar nahin mana tha aur jab hanste hue khel gae jaan pe hum kah diya aap ne munh pher ke diwana tha Continue Reading... Share on:
abhi se lutf-o-murawwat ka ehtimam na karShayari By Sabir Dutt01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaabhi se lutf-o-murawwat ka ehtimam na kar nazar ko tir labon ko abhi se jam na kar abhi na shane se dhalka tu reshmi aanchal hasin sham hai aise mein qatl-e-am na kar Continue Reading... Share on:
aazmaish hai teri jurat-e-rindana kiShayari By Ali Sardar Jafri01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaazmaish hai teri jurat-e-rindana ki aab hai mauj-e-mai-e-nab mein talwaron ki chashm-e-saqi mein hai ab hosh-o-khirad ka paigham aaj pursish nahin bahke hue mai-kharon ki Continue Reading... Share on:
ab manana use mushkil hai ki ye aaKHiri palShayari By Abid Malik01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaab manana use mushkil hai ki ye aakhiri pal ruthne ke liye tayyar hua baitha hai mere bahar tere aane ki khushi ho ki na ho mere andar koi sarshaar hua baitha hai Continue Reading... Share on:
aashiq jo chahte the wahi kaam ho gayaShayari By Saghar Khayyami01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaashiq jo chahte the wahi kaam ho gaya kal kal se roz roz ki aaram ho gaya kahne lagi hain jab se ghazal aurten janab murdon se guftugu ka ghazal nam ho gaya Continue Reading... Share on:
aah! marg-e-arzu ka majra ab kya kahunShayari By Akhtar Ansari01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaah! marg-e-arzu ka majra ab kya kahun ek musalsal yas ka hai samna ab kya kahun dam-ba-dam bujhti hi jati hai nashat-e-dil ki jot rach gaya hai ruh mein ek dard sa ab kya kahun Continue Reading... Share on:
aasra jab bhi koi TuTe haiShayari By Ganesh Bihari Tarz01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaasra jab bhi koi tute hai ek chhaala sa dil mein phute hai kya kahun us ke pyar ka aalam phuljhadi si badan se chhute hai Continue Reading... Share on:
aasman par hain KHiraman abr-paron ke hujumShayari By Ehsan Danish01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaasman par hain khiraman abr-paron ke hujum is tarah khul khul ke chhupti hai jabin-e-aftab jis tarah hamsayon ki aamad se hangam-e-sahar ghar mein sharmili nai dulhan ka andaz-e-naqab Continue Reading... Share on:
adab mein aa gae KHam Thonk shaerShayari By Saghar Khayyami01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaadab mein aa gae kham thonk shaer ghazal kya mehrbani kar rahi hai hasinon ka jo likhti thi qasida wo ladki pahlwani kar rahi hai Continue Reading... Share on:
aansuon mein bhigo ke aankhon koShayari By Ahmad Nadeem Qasmi01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaansuon mein bhigo ke aankhon ko dekhte ho to khak dekhoge aaine ko zara sa nam kar do pairahan chaak chaak dekhoge Continue Reading... Share on:
aazadi-e-afkar se hai unki tabahiShayari By Allama Iqbal01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaaazadi-e-afkar se hai un ki tabahi rakhte nahin jo fikr-o-tadabbur ka saliqa ho fikr agar kham to aazadi-e-afkar insan ko haiwan banane ka tariqa Continue Reading... Share on:
ab kisi ko bhi nahin hausla-e-talKHi-e-jamShayari By Ali Sardar Jafri01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaab kisi ko bhi nahin hausla-e-talkhi-e-jam khak par bikhre hain tute hue shishon ke nujum waiz-e-shahr ko mai-khwaron ne mana hai imam khanqahon mein hai rindan-e-bala-kash ka hujum Continue Reading... Share on:
abhi na raat ke gesu khule na dil mahkaShayari By Makhdoom Mohiuddin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitaabhi na raat ke gesu khule na dil mahka kaho nasim-e-sahar se thahar thahar ke chale mile to bichhde hue mai-kade ke dar pe mile na aaj chand hi dube na aaj raat dhale Continue Reading... Share on: