GHAZAL SHAYARI IMAGES | CLASSICAL POETRY COLLECTION

14 CLASSICAL POETRY IMAGES

Experience the beauty of classical poetry through our ghazal shayari collection. Each piece embodies the rich tradition of this timeless art form.

aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho
aag ho dil mein to aankhon mein dhanak paida ho
ruh mein raushni lahje mein chamak paida ho
ek shola meri aawaz mein lahraata hai
khun mein lahr khayalon mein lalak paida ho


qatl karne ka irada hai magar sochta hun
tu agar aae to hathon mein jhijak paida ho
is tarah apni hi sachchai par israr na kar
ye na ho aur teri baat mein shak paida ho


mujh se bahte hue aansu nahin likkhe jate
kash ek din mere lafzon mein lachak paida ho

- saqi-faruqi


aa ke ab jangal mein ye uqda khula
aa ke ab jangal mein ye uqda khula
bhediye padhte nahin hain falsafa
richhni ko shaeri se kya gharaz
tang hai tahzib hi ka qafiya


khaal chikni ho to dhande hain hazar
gidadi ne kab koi doha suna
gorkhar ki dhaariyon ko dekh lo
suit chaupae bhi lete hain sila


lomdi ki dum ghani kitni bhi ho
satar-poshi ko nahin kahte haya
shahr mein un ke jo guzra tha 'salim'
likh diya hai main ne sara majra


- saleem-ahmed


aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye
aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye
aisi sahba-e-kuhan aur kham hai mere liye
zindagi ek shorish-e-alam hai mere liye
jo nafas hai gardish-e-ayyam hai mere liye


shaeri hi wajh-e-nang-o-nam hai mere liye
aur jo kuchh hai wo sab ilzam hai mere liye
meri arz-e-shauq be-mani hai un ke waste
un ki khamoshi bhi ek paigham hai mere liye


ye meri aashufta-e-haali ye meri aawargi
jaise sari gardish-e-ayyam hai mere liye
kis qadar masum kaisi garm kitni dil-nawaz
wo nigah-e-naz jo bad-nam hai mere liye


aaj kya hone ko hai ai gardish-e-haft-asman
har sitara larza-bar-andam hai mere liye

- moin-ahsan-jazbi


aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh
aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh
ho hi jaegi koi jine ki tadbir na dekh
hadse aur bhi guzre teri ulfat ke siwa
han mujhe dekh mujhe ab meri taswir na dekh


ye zara dur pe manzil ye ujala ye sukun
khwab ko dekh abhi khwab ki tabir na dekh
dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh


kuchh bhi hun phir bhi dukhe dil ki sada hun nadan
meri baaton ko samajh talkhi-e-taqrir na dekh
wahi 'majruh' wahi shair-e-awara-mizaj
koi uttha hai teri bazm se dil-gir na dekh


- majrooh-sultanpuri


aa hi jaegi sahar matla-e-imkan to khula
aa hi jaegi sahar matla-e-imkan to khula
na sahi bab-e-qafas rauzan-e-zindan to khula
le ke aai to saba us gul-e-chini ka payam
wo sahi zakhm ki surat lab-e-khandan to khula


sail-e-rang aa hi rahega magar ai kisht-e-chaman
zarb-e-mausam to padi band-e-bahaaran to khula
dil talak pahunche na pahunche magar ai chashm-e-hayat
baad muddat ke tera panja-e-mizhgan to khula


dard ka dard se rishta hai chalo ai 'majruh'
aaj yaron se ye ek uqda-e-asan to khula

- majrooh-sultanpuri


aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin
aagahi sud-o-ziyan ki koi mushkil bhi nahin
hasil-e-umr magar umr ka hasil bhi nahin
aankh uthao to hijabaat ka ek aalam hai
dil se dekho to koi rah mein hail bhi nahin


dil to kya jaan se bhi inkar nahin hai lekin
dil hai badnam bahut phir tere qabil bhi nahin
uljhanen lakh sahi zist mein lekin yaro
raunaq-e-bazm-e-jahan nazr-e-masail bhi nahin


tere diwane khuda jaane kahan ja nikle
der se dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin
dard ki aanch bana deti hai dil ko iksir
dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin


ghaur se dekho to ye zist hai zakhmon ka chaman
aur 'jawed' ba-zahir koi ghail bhi nahin

- javed-vashisht


aadmi apni zat mein tanha
aadmi apni zat mein tanha
aalam-e-shash-jihat mein tanha
ai khuda tu hi be-misal nahin
main bhi hun kaenat mein tanha


mujh ko har ek baat ka gham hai
main hun har ek baat mein tanha
maut ke dasht-e-be-kanar mein gum
shahr ke hadsat mein tanha


mujh ko kis jurm mein utar diya
kar-zar-e-hayat mein tanha
be-aman dushmanon ki zad mein hun
dahr ke somnat mein tanha


aap-apni talash hai mujh ko
hun ajab mushkilat mein tanha

- jameel-yusuf


aa gaya jab se nazar wo shoKH harjai mujhe
aa gaya jab se nazar wo shokh harjai mujhe
ku-ba-ku dar dar liye phirti hai ruswai mujhe
kaam aashiq ko kisi ki aib-bini se nahin
husn-bini ko khuda ne di hai binai mujhe


jaur sahta hun buton ke na-tawani ke sabab
dil utha lun is qadar kab hai tawanai mujhe
jis tarah aata hai piri mein jawani ka khayal
wasl ki shab yaad roz-e-hijr mein aai mujhe


ginti ek ek nam ki har gor mein murde hain dafn
baad-e-murdan bhi hui dushwar tanhai mujhe
misl-e-saghar bazm-e-alam mein main kab khandan hua
kis liye deta hai gardish charkh-e-minai mujhe


ain danai hai 'nasikh' ishq mein diwangi
aap saudai hain jo kahte hain saudai mujhe

- imam-bakhsh-nasikh


aa gai sar par qaza lo sara saman rah gaya
aa gai sar par qaza lo sara saman rah gaya
ai falak kya kya hamare dil mein arman rah gaya
baghban hai chaar din ki bagh-e-alam mein bahaar
phul sab murjha gae khali bayaban rah gaya


itna ehsan aur kar lillah ai dast-e-junun
baqi gardan mein faqat tar-e-gareban rah gaya
yaad aai jab tumhaare rup raushan ki chamak
main sarasar surat-e-aina hairan rah gaya


le chale do phul bhi is bagh-e-alam se na hum
waqt-e-rahlat haif hai khali hi daman rah gaya
mar gae hum par na aae tum khabar ko ai sanam
hausla ab dil ka dil hi mein meri jaan rah gaya


na-tawani ne dikhaya zor apna ai 'rasa'
surat-e-naqsh-e-qadam main bas numayan rah gaya

- bhartendu-harishchandra


aag hi aag hai gulshan ye koi kya jaane
aag hi aag hai gulshan ye koi kya jaane
kis ne phunka hai nasheman ye koi kya jaane
na kahin sozan-o-rishta na kahin bakhiya-gari
sar-ba-sar chaak hai daman ye koi kya jaane


dekhte phirte hain log aaine sayyaron ke
dil ka gosha bhi hai darpan ye koi kya jaane
husn har haal mein hai husn paraganda naqab
koi parda hai na chilman ye koi kya jaane


'arsh' uncha tha sar-e-fan kabhi ya fakhr o ghurur
ab tah-e-tegh hai gardan ye koi kya jaane

- arsh-malsiyani


aafaton mein ghir gaya hun zist se be-zar hun
aafaton mein ghir gaya hun zist se be-zar hun
main kisi ruman-e-gham ka markazi kirdar hun
muddaton kheli hain mujh se gham ki bedard ungliyan
main rabab-e-zindagi ka ek shikasta tar hun


dusron ka dard 'akhtar' mere dil ka dard hai
mubtala-e-gham hai duniya aur main gham-khwar hun

- akhtar-ansari


aagah apni maut se koi bashar nahin
aagah apni maut se koi bashar nahin
saman sau baras ka hai pal ki khabar nahin
aa jaen rob-e-ghair mein hum wo bashar nahin
kuchh aap ki tarah hamein logon ka dar nahin


ek to shab-e-firaq ke sadme hain jaan-gudaz
andher is pe ye hai ki hoti sahar nahin
kya kahiye is tarah ke talawwun-mizaj ko
wade ka hai ye haal idhar han udhar nahin


rakhte qadam jo wadi-e-ulfat mein be-dhadak
'hairat' siwa tumhaare kisi ka jigar nahin

-


aa hi gaya wo mujhko lahad mein utarne
aa hi gaya wo mujh ko lahad mein utarne
ghaflat zara na ki mere ghaflat-shiar ne
o be-nasib din ke tasawwur se khush na ho
chola badal liya hai shab-e-intizar ne


ab tak asir-e-dam-e-fareb-e-hayat hun
mujh ko bhula diya mere parwardigar ne
nauhagaron ko bhi hai gala baithne ki fikr
jata hun aap apni ajal ko pukarne


dekha na karobar-e-mohabbat kabhi 'hafiz'
fursat ka waqt hi na diya karobar ne

-


aa gai yaad sham Dhalte hi
aa gai yaad sham dhalte hi
bujh gaya dil charagh jalte hi
khul gae shahr-e-gham ke darwaze
ek zara si hawa ke chalte hi


kaun tha tu ki phir na dekha tujhe
mit gaya khwab aankh malte hi
khauf aata hai apne hi ghar se
mah-e-shab-tab ke nikalte hi


tu bhi jaise badal sa jata hai
aks-e-diwar ke badalte hi
khun sa lag gaya hai hathon mein
chadh gaya zahr gul masalte hi


-