INTZAAR SHAYARI IMAGES | POETRY OF WAITING & LONGING

21 WAITING POETRY IMAGES

Express the pain and beauty of waiting through our intzaar shayari collection. Each piece captures the essence of longing and anticipation.

Aisi Hi Intezaar Main 
Lazzat Agar Na Ho
Aisi hi intezaar main lazzat agar na ho
to do gharri firaaq main apni bassar na ho..

-


Uske Intzaar Ke Maare Hai Hum
Uske intzaar ke maare hai hum
bas uski yaadon ke sahare hai hum
duniya jeet k karna kya hai. ab jise duniya se jeetna tha
aaj usi se haare hai hum

-


Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai
Wafa main ab ye hunar ikhtiar karna hai

Woh sach kahe na kahe aitebar karna hai



Yeh tujh ko jagte rehne ka shauk kab se hua

Mujhe to khair tera intezaar krna hai.

-


Chahat Par Aitbaar Na Raha
Chahat Par Aitbaar Na Raha

Khushi Kya Hai Yeh Ehsaas Na Raha



Dekha Hai In Aankhon Ne Tute Sapno Ko

Isliye Ab Kisi Ka Intezaar Na Raha!

-


Woh Humse Apni Marzi Se Baat Karte Hain
Woh Humse Apni Marzi Se Baat Karte Hain

Aur Hum Bhi Kitne Pagal Hain Ki Unki Marzi Ka Intezaar Karte Hain!

-


naj ka naj se milna kabhi payar
Naj Ka Naj Se Milna Kabhi Payar Nahi Hota

Kahin Pe Ruk Jana Kisi Ka Intzaar Nahi Hota



Are Pyar Tab Tak Nahi Hota Jab Tak Ijhar Nahi Hota

-


khud se bhi jyada unhen pyar kiya
Khud Se Bhi Jyada Unhen Pyar Kiya Karte The

Unki Hi Yaad Men Din Raat Jiya Karte The



Gujara Nahin Jata Ab Un Raahon Se

Jaha Ruk Kar Ham Unka Intzaar Kiya Karte The

-


mohabbat men kisi ka intzaar mat karna
Mohabbat Men Kisi Ka Intzaar Mat Karna

Ho Sake To Kisi Se Pyar Mat Karna



Kuchh Nahin Milta Mohabbat Kar Ke

Khud Ki Jindagi Bekar Mat Karna

-


kitna samjhaya dil ko ki tu pyaar
Kitna Samjhaya Dil Ko Ki Tu Pyaar Na Kar

Kisi Ke Liye Khud Ko Bekrar Na Kar



Wo Tere Liye Nahin Hai Nadan

E Pagal Kisi Aur Ki Amanat Ka Intzaar Na Kar!

-


khabar nahin mujhe yah jindagi kaha le
Khabar Nahin Mujhe Yah Jindagi Kaha Le Jaye
​​
Kahin Thahar Ke Mera Intzaar Mat Karna

-


samajh na aaya e zindagi tera ye
Samajh Na Aaya E Zindagi Tera Ye Falsafaa
Ek Taraf Kahte Hain Sabra Ka Fal Mitha Hai
Aur Dusari Taraf Kahte Hain Vakt Kisi Ka Intzaar Nahin Karta

-


Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye
Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye

Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye



Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka

Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye!

-


Wafaa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai
Wafaa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtiyaar Karna Hai

Woh Sach Kahe Na Kahe Aitbaar Karna Hai



Yeh Tujh Ko Jaagte Rehne Ka Shauq Kab Se Hua

Mujhe To Khair Tera Intezaar Karna Hai!

-


Intezaar To Bahut Tha Humein
Intezaar To Bahut Tha Humein

Lekin Aaye Na Woh Kabhi



Hum To Bin Bulaaye Hi Aa Jaate

Agar Hota Unhe Bhi Intezaar Kabhi!

-


Uski Dard Bhari Aankhon Ne Jis Jagah Kaha Tha Alvida
Uski Dard Bhari Aankhon Ne Jis Jagah Kaha Tha Alvida

Aaj Bhi Wahi Khada Hai Dil Uske Aane Ke Intezaar Mein!

-


Dil Hi Dil Mein Hum Unse Pyar Karte Hain
Dil Hi Dil Mein Hum Unse Pyar Karte Hain

Chup-Chup Unki Mahobbat Ka Intezaar Karte Hain!

-


Love Shayari, Ek shaam aati hai

एक शाम आती है तुम्हारी याद लेकर

एक शाम जाती है तुम्हारी याद देकर



पर मुझे तो उस शाम का इंतेज़ार है

जो आए तुम्हे अपने साथ लेकर..!!

Ek shaam aati hai tumhari yaad lekar



Ek shaam jaati hai tumhari yaad dekar

Par hume intezaar hai us shaam ka



Jo aaye sirf tumhe saath lekar..!!

-


Kal Tak Tanha The

Kal Tak Tanha The

Aaj Intzaar karte Hain



Kal Tak kuch Na Tha

Aaj Aitbaar krte Hain



Yu Hi Nahi “
Aapko”
Hichkiyaan Aati



Hum Yad Hi “
Aapko”

Bar-Bar krte hain.

-


Kaate nahin kat-te lamhe intezaar ke

Kaate nahin kat-te lamhe intezaar ke

Nazaren bichaye baithe hain raste pe yaar ke



Dil ne kaha dekhe jo jalwe husne yaar ke

Laya hai unhe kaun falak se utaar ke.

-


Intezaar Shayari, Tu Yaad Kare Na Kare

Tu Yaad Kare Na Kare Teri Khushi

Hum To Tujhe Yaad Karte Rehte Hai



Tujhe Dekhne Ko Dil Tarsata Hai

Hum To Intezaar Karte Rehte Hai.

-


Intezaar rehta har shaam tera

Intezaar rehta har shaam tera

yaatein katati hain le-le kar naam tera



Muddat se baithe hain yeh aas paale

Ki aaj aayega koi paigaam tera.

-