QITA SHAYARI IMAGES | FRAGMENT POETRY COLLECTION

26 TRADITIONAL POETRY IMAGES

Discover the beauty of qita poetry through our carefully curated collection. Each piece represents the concise and powerful nature of this classical form.

adab mein aa gae KHam Thonk shaer
adab mein aa gae kham thonk shaer
ghazal kya mehrbani kar rahi hai
hasinon ka jo likhti thi qasida
wo ladki pahlwani kar rahi hai


-


abhi se lutf-o-murawwat ka ehtimam na kar
abhi se lutf-o-murawwat ka ehtimam na kar
nazar ko tir labon ko abhi se jam na kar
abhi na shane se dhalka tu reshmi aanchal
hasin sham hai aise mein qatl-e-am na kar


-


abhi na raat ke gesu khule na dil mahka
abhi na raat ke gesu khule na dil mahka
kaho nasim-e-sahar se thahar thahar ke chale
mile to bichhde hue mai-kade ke dar pe mile
na aaj chand hi dube na aaj raat dhale


-


abhi jawan hai gham-e-zindagi ka har lamha
abhi jawan hai gham-e-zindagi ka har lamha
dhadak raha hai dil-e-be-qarar ki surat
hasin o shokh hai mustaqbil-e-bashar ka khayal
kisi tabassum-e-be-ikhtiyar ki surat


-


abhi ai dost zauq-e-shaeri hai wajh-e-ruswai
abhi ai dost zauq-e-shaeri hai wajh ruswai
teri basti mein hum par aur bhi ilzam aaenge
agar ab bhi hamara sath tu ai dil nahin dega
to hum is shahr mein tujh ko akela chhod jaenge


-


ab manana use mushkil hai ki ye aaKHiri pal
ab manana use mushkil hai ki ye aakhiri pal
ruthne ke liye tayyar hua baitha hai
mere bahar tere aane ki khushi ho ki na ho
mere andar koi sarshaar hua baitha hai


-


ab kya bataen kya tha saman pairahan ke bich
ab kya bataen kya tha saman pairahan ke bich
jazbaat ho rahe the jawan pairahan ke bich
kya jhilmili bhi rokti gore badan ki aanch
pighla hua tha shoala rawan pairahan ke bich


-


ab kisi ko bhi nahin hausla-e-talKHi-e-jam
ab kisi ko bhi nahin hausla-e-talkhi-e-jam
khak par bikhre hain tute hue shishon ke nujum
waiz-e-shahr ko mai-khwaron ne mana hai imam
khanqahon mein hai rindan-e-bala-kash ka hujum


-


ab ishq nahin mushkil bas itna samajh lije
ab ishq nahin mushkil bas itna samajh lije
kab aag ka dariya hai kab tair ke jaana hai
mayus na hun aashiq mil jaegi mashuqa
bas itni si zahmat hai mobile uthana hai


-


ab bhi ek lab mein aur tabassum mein
ab bhi ek lab mein aur tabassum mein
hadd-e-fasil hai ek duri hai
kitni sadiyan guzar chukin lekin
zindagi aaj bhi adhuri hai


-


aazmaish hai teri jurat-e-rindana ki
aazmaish hai teri jurat-e-rindana ki
aab hai mauj-e-mai-e-nab mein talwaron ki
chashm-e-saqi mein hai ab hosh-o-khirad ka paigham
aaj pursish nahin bahke hue mai-kharon ki


-


aazadi-e-afkar se hai unki tabahi
aazadi-e-afkar se hai un ki tabahi
rakhte nahin jo fikr-o-tadabbur ka saliqa
ho fikr agar kham to aazadi-e-afkar
insan ko haiwan banane ka tariqa


-


aaya tha bazm-e-sher mein arz-e-hunar ko main
aaya tha bazm-e-sher mein arz-e-hunar ko main
ab ja raha hun dhundne ahl-e-nazar ko main
sar phodna kamal-e-junun bhi nahin raha
baitha rahunga sar mein liye dard-e-sar ko main


-


aasra jab bhi koi TuTe hai
aasra jab bhi koi tute hai
ek chhaala sa dil mein phute hai
kya kahun us ke pyar ka aalam
phuljhadi si badan se chhute hai


-


aasman par hain KHiraman abr-paron ke hujum
aasman par hain khiraman abr-paron ke hujum
is tarah khul khul ke chhupti hai jabin-e-aftab
jis tarah hamsayon ki aamad se hangam-e-sahar
ghar mein sharmili nai dulhan ka andaz-e-naqab


-


aashiq jo chahte the wahi kaam ho gaya
aashiq jo chahte the wahi kaam ho gaya
kal kal se roz roz ki aaram ho gaya
kahne lagi hain jab se ghazal aurten janab
murdon se guftugu ka ghazal nam ho gaya


-


aarzu
har musafir talash karta hai
apni manzil ko sham se pahle
aarzu karwaten badalti hai
zindagi ke qayam se pahle


-


aarzu hai ki ab meri hasti
aarzu hai ki ab meri hasti
bahr-e-ulfat mein gharq ho jae
be-niyaz-e-gham-e-jahan ho kar
teri ranginiyon mein kho jae


-


aap ki rah mein kya kya na saha tha humne
aap ki rah mein kya kya na saha tha hum ne
aap ne phir bhi wafadar nahin mana tha
aur jab hanste hue khel gae jaan pe hum
kah diya aap ne munh pher ke diwana tha


-


aansuon mein bhigo ke aankhon ko
aansuon mein bhigo ke aankhon ko
dekhte ho to khak dekhoge
aaine ko zara sa nam kar do
pairahan chaak chaak dekhoge


-


aaj panghaT pe ye gata hua kaun aa nikla
aaj panghat pe ye gata hua kaun aa nikla
ladkiyan gagaren bharti hui ghabra si gain
odhni sar pe jama kar wo subuhi utthi
ankhdiyan chaar huin jhuk gain sharma si gain


-


aaj panghaT par is tarah thi bhiD
aaj panghat par is tarah thi bhid
har taraf ladkiyon ka rela tha
ek aati thi ek jati thi
jaise sawan mein tij mela tha


-


aaj hai ahl-e-mohabbat ka muqaddas tyauhaar
aaj hai ahl-e-mohabbat ka muqaddas tyauhaar
rang kyun lae na masum duaon ka asar
id ka din hai chalo aaj gale mil jaen
tum ho masjid ki azan


main hun shiwale ka gajar

-


aah! marg-e-arzu ka majra ab kya kahun
aah! marg-e-arzu ka majra ab kya kahun
ek musalsal yas ka hai samna ab kya kahun
dam-ba-dam bujhti hi jati hai nashat-e-dil ki jot
rach gaya hai ruh mein ek dard sa ab kya kahun


-


aadmi the shai hue sauda hue
aadmi the shai hue sauda hue
bad hue bad-tar hue be-ja hue
kam hue kam-tar hue phir na hue
is tarah hum ishq mein zaya hue


-