RUBAAI SHAYARI IMAGES | QUATRAIN POETRY COLLECTION

31 QUATRAIN POETRY IMAGES

Explore the beauty of rubaai poetry through our collection. Each piece showcases the precise four-line format that captures deep meanings.

ai raunaq-e-lala-zar wapas aa ja
ai raunaq-e-lala-zar wapas aa ja
ai daulat-e-barg-o-bar wapas aa ja
aise mein ki nau-bahaar hai khuld-ba-dosh
ai nazish-e-nau-bahaar wapas aa ja


-


ai mani-e-kainat mujh mein aa ja
ai mani-e-kainat mujh mein aa ja
ai raaz-e-sifat-o-zat mujh mein aa ja
sota sansar jhilmilate tare
ab bhig chali hai raat mujh mein aa ja


-


ai dil jo ye aankh aaj laDai usne
ai dil jo ye aankh aaj ladai us ne
aur pal mein lada ke phir jhukai us ne
apni bebaki aur haya ki khubi
thi hum ko dikhani so dikhai us ne


-


ai baKHt-e-rasa su-e-najaf rahi kar
ai bakht-e-rasa su-e-najaf rahi kar
mujh zar ko zair-e-yad-ul-lahi kar
le ja su-e-karbala meri musht-e-ghubar
ai baad-e-saba itni hawa-khwahi kar


-


afzun hain bayan se mojizat-e-haidar
afzun hain bayan se mojizat-e-haidar
halal muhimmat hai zat-e-haidar
tauret injil aur zabur o quran
hain ek rubai sifat-e-haidar


-


afzal koi murtaza se himmat mein nahin
afzal koi murtaza se himmat mein nahin
is tarah ka banda to haqiqat mein nahin
tuba tasnim-o-khuld-o-seb-o-rumman
wo kya hai jo haidar ki wilayat mein nahin


-


afsurda faza pe jaise chhaya ho hiras
afsurda faza pe jaise chhaya ho hiras
duniya ko koi hawa bhi aati nahin ras
dubi jati ho jaise nabz-e-kaunain
jis baat pe husn aaj itna hai udas


-


afsos shikayat-e-nihani na gai
afsos shikayat-e-nihani na gai
dil par se raqib ki girani na gai
altaf the bas ki ru-ba-ru-e-dushman
us shokh se bad-gumani na gai


-


afsos sharab pi raha hun tanha
afsos sharab pi raha hun tanha
ghalatan-ba-subu tamam khun-e-fan-ha
thithuri hui saghar mein nazar aati hai
sahba razi-allaho-taala-anha


-


afsana-e-gham hai shadmani meri
afsana-e-gham hai shadmani meri
main kaun hun aur kya jawani meri
hansta hun ki muqtaza-e-hasti hai ye
rota hun ki zindagi hai fani meri


-


aflas achchha na fikr-e-daulat achchhi
aflas achchha na fikr-e-daulat achchhi
jo dil ko pasand ho wo haalat achchhi
jis se islah-e-nafs na-mumkin ho
us aish se har tarah musibat achchhi


-


aflak pe jab parcham-e-shab lahraya
aflak pe jab parcham-e-shab lahraya
saqi ne bhara saghar-e-mah chhalkaya
kuchh soch ke kuchh der tammul kar ke
us ne bhi zara parda-e-rukh sarkaya


-


ab zer-e-qadam lahad ka bab aa pahuncha
ab zer-e-qadam lahad ka bab aa pahuncha
hushiyar ho jald waqt-e-khwab aa pahuncha
piri ki bhi dopahar dhali aah 'anis'
hangam-e-ghurub-e-aftab aa pahuncha


-


ab walwale ishq ke tamanna mein nahin
ab walwale ishq ke tamanna mein nahin
majnun koi justuju-e-laila mein nahin
jaane guzre hain kis tarah se rah-rau
ek naqsh-e-qadam bhi reg-e-sahra mein nahin


-


ab KHwab se chaunk waqt-e-bedari hai
ab khwab se chaunk waqt-e-bedari hai
le zad-e-safar kuch ki tayyari hai
mar mar ke pahunchte hain musafir wan tak
ye qabr ki manzil bhi ghazab ki bhaari hai


-


ab jazba-e-wahshat ki qasam mat khao
ab jazba-e-wahshat ki qasam mat khao
rah rah ke mohabbat ki qasam mat khao
aankhon ki chamak khol na de sara bharam
khud apni sadaqat ki qasam mat khao


-


ab hind ki zulmat se nikalta hun main
ab hind ki zulmat se nikalta hun main
taufiq rafiq ho to chalta hun main
taqdir ne bediyan to kati hain 'anis'
kyun ruk gae panw hath malta hun main


-


ab garm KHabar maut ke aane ki hai
ab garm khabar maut ke aane ki hai
ghafil tujhe fikr aab-o-dane ki hai
hasti ke liye zarur ek din hai fana
aana tera dalil jaane ki hai


-


aazadi-e-fikr o dars-e-hikmat hai gunah
aazadi-e-fikr o dars-e-hikmat hai gunah
dana ke liye nahin koi ja-e-panah
is azhdar-e-tahzib ke farzand-e-rashid
ye mazhab o qanun ayazan-billah


-


aawaz pe sangit ka hota hai bharam
aawaz pe sangit ka hota hai bharam
karwat leti hai narm lai mein sargam
ye bol surile thartharaati hai faza
an-dekhe saz ka khanakna paiham


-


aati hai to khilti hai gulabon ki tarah
aati hai to khilti hai gulabon ki tarah
deti hai nasha tund sharabon ki tarah
lekin koi dekhe ye jawani ka maal
bikhri hai padhi hui kitabon ki tarah


-


aata nahin sanson mein maza pine ka
aata nahin sanson mein maza panne ka
khilta hi nahin zakhm mere sine ka
har roz agar ek rubai na kahun
hota nahin haq jaise ada jine ka


-


aasudgi-e-zat nahin ho sakti
aasudgi-e-zat nahin ho sakti
sairabi-e-jazbaat nahin ho sakti
jo itni tunak-maya ho duniya us mein
meri guzar-auqat nahin ho sakti


-


aashob-e-zamana se hai Darna kaisa
aashob-e-zamana se hai darna kaisa
buzdil ki tarah shikwa hai karna kaisa
marna to bahar-haal hai ek rose 'obaid'
marne se magar pahle hi marna kaisa


-


aasar-e-zawal
aaba ko zamin o mulk par itminan
aulad ko sasti ye qanaat ka guman
bachche aawara aur be-kar jawan
hain aise gharane koi din ke mehman


-