sauda barae zindagi aasan kar diya
jo bik nahin raha tha use dan kar diya
puri ghazal ka lutf utha hi nahin sake
matle' ne is qadar hamein hairan kar diya


mahfil mein koi husn ka misra' agar mila
itne sunae she'r ki diwan kar diya
pani pahan ke daud laga di gali gali
dariya ne khel khel mein nuqsan kar diya


hum todne gae the nasihat ki botiyan
order janab-e-shaikh ne jalpan kar diya
mushkil mein pad gae tere chakkar mein khud magar
khush hain ki rasta tera aasan kar diya


sachchaiyon ne khwab ke sab kheme dha diye
aur 'ashiqon ko be-sar-o-saman kar diya

- abbas-qamar

samne wale ko halka jaan kar bhaari hain aap
aap ka me'yar dekha kitne me'yari hain aap
sare dariya sab samundar muntazir hain aap ke
jaiye bahiye meri aankhon se kyon jari hain aap


uf talak karte nahin zill-e-ilahi ke khilaf
aap ko darbar ki 'adat hai darbari hain aap
aap ki aazadiyan hain aap hi ke hath mein
jis pe qudrat bhi hai nazan wo giraftari hain aap


jism ke pinjre mein le kar ghumiye nannhi si jaan
chand sanson ki mere pyare adakari hain aap

- abbas-qamar

is musibat se nikalne ka wasila kar de
kho gaya hai jo mera mujh ko wahi la kar de
ab main kaise tujhe samjhaun ki uljhan kya hai
khol de sans ki girhen mujhe dhila kar de


kya pata kaun sa rang odh ke aa jae bahaar
aur tera hath mere samne pila kar de
ek chutki ki teri naf mein pad jaen bhanwar
ek bosa ki tere gal ko gila kar de


ruh ki aanch badha tez kar ehsas ki lau
jism ko 'ishq-o-mohabbat ka patila kar de
isti'ara koi mil jae mujhe thos aisa
jo tere husn ka mazmun lachila kar de


- abbas-qamar

be-khayali ki rida dur talak tani hai
ab to ye bhi nahin lagta ki pareshani hai
sard mausam mein bhadak utthi hai tanhai ki aag
jo badha deti hai mushkil wahi aasani hai


aab-e-girya se hai didar ki surat paida
dekhiye ghaur se aankh aankh nahin pani hai
main to ehsas ki taswir bana baitha hun
raunaq-e-bazm-e-tasawwur meri hairani hai


ye jo duniya hai ye duniya ki banai hui hai
aadmi kya hai nazariyat ki shaitani hai
ye ghazal sun ke kahenge ‘qamar-abbas-qamar'
yar 'abbas-qamar' tum ne 'ajab thani hai


- abbas-qamar

wasl ke baad bhi puri nahin hoti khwahish
aur kuchh hai jo ye nadida badan chahta hai

- abrar-ahmad-kashif

pareshani agar hai to pareshani ka hal bhi hai
pareshan-haal rahne se pareshani nahin jati

- abrar-ahmad-kashif

aakhiri lamhat mein kya sochne lagte ho tum
jit ke nazdik aa kar haar jaya mat karo

- abrar-ahmad-kashif

pahle se 'ishq ke wo zamane nahin rahe
hum jaise 'ashiqon ke thikane nahin rahe
nafrat ki aandhiyon mein giraftar ho gae
honton pe chahaton ke tarane nahin rahe


hum ne bhi chhod di wo hasinon ki rah-guzar
bhaunre bhi phul ke ye diwane nahin rahe
manzar hasin khwabon ke dil se utar gae
mausam bhi barishon ke suhane nahin rahe


tahziben zindagi ki ye pamal ho gain
mahfil mein log jab se purane nahin rahe
'abid' hain kaun si ye riwayat ke silsile
sinon mein ulfaton ke khazane nahin rahe


- abid-barelvi

khushiyan hon sirf jis mein ye gham ka dhuan na ho
koi zamin nahin hai jahan aasman na ho
us ko bhi sinche hai khuda rahmat ki chhanw mein
duniya mein jis chaman ka koi baghban na ho


phirti ho dar-ba-dar si meri hasrato kahan
koi tumhaare jaisa yahan be-makan na ho
lazim hai ehtijaj hawaon ka is liye
zulmat ki rah-guzar pe koi karwan na ho


nafrat ki aag mein jo usulon ko jhonk de
aisa bhi masnadon pe koi hukmaran na ho
qaem karo yahan nai ulfat ke silsile
rahon mein wahshaton ka ye nam-o-nishan na ho


'abid' jalao pyar ki sham'on ko har taraf
in nafraton mein taki koi bad-guman na ho

- abid-barelvi

jhulse hue sahra mein shajar dekh raha hun
ummid ke gulshan mein sahar dekh raha hun
jalwon ki tajalli ka talabgar hai ye dil
tu husn ka paikar hai nazar dekh raha hun


har samt mohabbat ke nae bab likhe hain
bas khwab se manzar hain jidhar dekh raha hun
ek khwab ki ta'bir hai darkar musalsal
ek aag ka dariya hai safar dekh raha hun


jate hue logon ko tum aawaz na dena
ye hijr ke mare hain dagar dekh raha hun
wo shakhs mohabbat mein khata-kar hua hai
har shakhs ke honton pe khabar dekh raha hun


har gam hain rahon mein siyasat ke bawandar
mushkil mein hai har ek bashar dekh raha hun
kaisa hai sitam yaro hai ye zarf bhi kaisa
jalta hua apna hi main ghar dekh raha hun


'abid' tujhe ulfat ki tamanna hi nahin ab
kab se main teri samt-e-guzar dekh raha hun

- abid-barelvi

in charaghon mein raushni thahre
tu jo aae to zindagi thahre
tujh ko dekhen to khwab chalte hain
bujhti aankhon mein tazgi thahre


tere chehre pe khwab se manzar
teri palkon pe ragni thahre
kitni pur-nur hain teri aankhen
jaise raaton mein chandni thahre


har-su jalte hain sham se jugnu
tu jo yaadon mein jaan meri thahre
dil ke sahra mein hijr ka mausam
raat jaise ki bebasi thahre


tujh mein 'abid' ye kaun rahta hai
jis ke rahne se khusrawi thahre

- abid-barelvi

hijr mein aise tere sham-o-sahar jate hain
qafile yaadon ke aate hain guzar jate hain
kya saza pai hai phulon ne mahakne ki ye
har sahar khilte hain har sham bikhar jate hain


dar-ba-dar khwab se manzar hain meri aankhon mein
gham bhi palkon pe meri aa ke thahar jate hain
zindagi hum ne tera kuchh to bharam rakkha hai
itne kirdaron mein jite hain ki mar jate hain


ku-ba-ku yas ka 'alam hai faqat hum tanha
hausle tut ke rahon mein bikhar jate hain
justuju kis ki hai jaanen ye safar hai kaisa
hum ko jaana hai kahan hum ye kidhar jate hain


kashmakash mein hai khushi sab ki bhala kyon aakhir
hum jidhar jate hain ye gham bhi udhar jate hain
aao ab yaro zamin par bhi utar aaen hum
ye parinde bhi bulandi se utar jate hain


ek nazar teri zamane pe hua karti hai
igde-bigde jo muqaddar hain sanwar jate hain
sar-phiri aag hai is dil mein lagi ai 'abid'
aa chalen ab kisi dariya mein utar jate hain


- abid-barelvi

har samt ek dhuan hai har gam tirgi hai
duniya tere safar mein ye kaisi raushni hai
zulmat ki rah-guzar pe ulfat sisak rahi hai
ye kaun be-hisi hai ye kaun bebasi hai


tanha hi chal rahe hum manzil ki aarzu mein
har subh ajnabi hai har sham ajnabi hai
apni hi dhun mein sab hain har shakhs dar-ba-dar hai
ye kaisi justuju hai ye kaisi tishnagi hai


hum mar ke ji rahe hain khwabon ki anjuman mein
nakaam hasraten hain gumnam zindagi hai
'abid' tumhaare haq mein har lab pe ek gila hai
har dil mein ek chubhan hai har aankh shabnami hai


- abid-barelvi

gulon ke darmiyan wo khilkhilana yaad aaya hai
chaman mein bulbulon ka chahchahana yaad aaya hai
kai phir khwab aankhon mein base hain zindagi ban kar
hamein phir 'ishq mein guzra zamana yaad aaya hai


parinde chahaton ke sarzamin pe raqs karte hain
koi bhuli kahani ka fasana yaad aaya hai
tabassum un labon ka phir sahar se gul khilata hai
bahaar-e-husn ka wo lahlahana yaad aaya hai


hasin manzar tumhaare qurb ke ab bhi lubhate hain
tumhaare wasl ka mausam suhana yaad aaya hai
hamein 'abid' kisi se ab shikayat hai na shikwa hai
na jaane kyon dilon ka tut jaana yaad aaya hai


- abid-barelvi

duniya mein raushni ki qayaadat ko likh chalen
lazim hai zulmaton ki baghawat ko likh chalen
har samt hon jahan mein ye ulfat ke silsile
nafrat ki rah-guzar pe mohabbat ko likh chalen


raushan hai jin ke dam se abhi hind ka chaman
ashkon se aaj un ki shahadat ko likh chalen
ab to mitao yaro 'adawat ki talkhiyan
wahshat ki aandhiyon mein rifaqat ko likh chalen


nafrat mein phir jale na koi amn ki sahar
lazim hai lakh aisi riwayat ko likh chalen
'abid' basaen har-su sabhi pyar ka jahan
duniya mein aao aisi hikayat ko likh chalen


- abid-barelvi

dil mein nafrat ki lagi aag bujha di jae
ab zamane ko mohabbat ki faza di jae
baat lazim hai usulon ki magar ai yaro
pahle diwar 'adawat ki gira di jae


phir jale ghar na kisi ka bhi hukumat mein koi
be-hisi waqt ki jo bhi ho mita di jae
kab talak yunhi sahoge ye sitam duniya ke
ab to aawaz baghawat ki utha di jae


- abid-barelvi

aankhon mein aansuon ka guzara nahin raha
jab se bichhad ke tu jo hamara nahin raha
tum ne bhula diye wo mohabbat ke silsile
ek hum hain ulfaton se kinara nahin raha


manzar hasin khwabon se jab se bikhar gae
koi bhi phir nazar mein dubara nahin raha
sara jahan teri mohabbat mein haar kar
kah dun main tujh se kaise khasara nahin raha


phulon ki baat ho ki sitaron ki zat ho
kis par tere karam ka ishaara nahin raha
'abid' ye hum ne chaha charaghon ko phunk den
us se bichhad ke ye bhi gawara nahin raha


- abid-barelvi

us se kahna ki dhuan dekhne laiq hoga
aag pahne hue main jaunga pani ki taraf

- abhishek-shukla

kitab-e-zist mein aisa koi bhi bab nahin
tumhaare 'ishq ka jis par likha hisab nahin
sharab-khane mein do bund bhi sharab nahin
hamare waste is se bada 'azab nahin


hui ye zindagi tarik raat ke manind
tu mahtab nahin main bhi aaftab nahin
nai hayat mein dhalna padega ab is ko
ye zindagi to mohabbat mein kaamyab nahin


tu apni aankhon ka chashma badal ke dekh mujhe
jahan jitna hai itna to main kharab nahin
hamein bhi tark-e-ta'alluq ka khak ho afsos
bichhad ke hum se tumhein bhi to iztirab nahin


ye mai-kada hai yahan hai har ek shakhs qubul
koi sharif nahin hai koi kharab nahin
khizan ne kaun si tartib se kiya barbaad
kisi bhi shakh pe gulshan mein ek gulab nahin


- a.r-sahil-'aleeg'

zinda logon ko niwalon sa chabane wale
meri mayyat pe bhi aaenge khuda khair kare

- aftab-shah

zat ki narmi zehni thandak shafqat sari duniya ki
us ne rakh di masjid dil mein jag ki sari maon mein

- aftab-shah

zarben de kar palat ke dekha to
manfi hasil tha par wo musbat tha

- aftab-shah

ye us ka khel hai jis khel mein har bar wo yaro
musalsal haar ke bhi mujh se aakhir jit jata hai

- aftab-shah

waqt ki kokh mein sulagta sa
meri hasti ka gham paheli hai

- aftab-shah

shayad wo ja chuka hai magar dekh lo kahin
chahat ke imtihan mein ab tak yahin na ho

- aftab-shah