Akela betha soch rha hu main

By April 18, 2018
Akela betha soch rha hu main
Akela betha soch rha hu main
dil ke armaan tatol rha hu main
jo fariyaad ki thi rab se maine us fariyaad ke panne chhod rha hu main
vo dard mila hai


tha jo na mera kabhi
us dard ki davai khoj rha hu main
akela betha soch rha hu main
dil ke armaan tatol rha hu main


ye faili tanhai
jo khane ko aaye
koi halki c aahat bhi dil ko chu jaye
kamre me betha khud ko tassli de rha hu main


akela betha soch rha hu main
dil ke armaan tatol rha hu main
ab bethe bethe khyal uska aana
un khyalo ke bajaar mein uska chehra kho jana


kuch pal bad usko pa lena
per tanhai mein ye bhi bhul rha hu main
akela betha soch rha hu main
dil ke armaan tatol rha hu main


kuch bayan karu ya na karu
akhir dil to akela hai or tanhai ka savera hai
tabhi to sham ko gopal ke paas dil ke raj khol rha hu mein
akela betha soch rha hu main


dil ke armaan tatol rha hu main…
19025 viewsArmaanEnglish