aa teri gali mein mar gae hum

By meer-mohammadi-bedarNovember 6, 2020
aa teri gali mein mar gae hum
manzur jo tha so kar gae hum
tujh bin gulshan mein gar gae hum
jun shabnam chashm-tar gae hum


pate nahin aap ko kahin yan
hairan hain kis ke ghar gae hum
us aaina-ru ke ho muqabil
malum nahin kidhar gae hum


go bazm mein hum se wo na bola
baaten aankhon mein kar gae hum










jun shama us anjuman se 'bedar'
le dagh-e-dil-o-jigar gae hum
16004 viewsghazalEnglish