aaina KHud-numai un ko sikha raha hai

By rasaFebruary 1, 2022
aaina khud-numai un ko sikha raha hai
kya qahr kar raha hai kya zulm dha raha hai
aansu baha raha hai wo soz-e-dil pe mere
khud hi laga ke zalim khud hi bujha raha hai


un ko to hum ne chaha wo yun sata rahe hain
ai charkh-e-kina-parwar to kyun raha hai
aazurda ghair se hain leta hun main balaen
ruthe hain wo kisi se koi mana raha hai


kuche mein un buton ne rahne diya na shayad
sunte hain ab 'rasa' bhi kabe ko ja raha hai
56575 viewsghazalEnglish