aaj har gam par raqsan ye sitare kyon hain
By kabir-ahmad-jaisiJanuary 15, 2022
aaj har gam par raqsan ye sitare kyon hain
jazba-e-shauq ye be-nam sahaare kyon hain
hasil-e-ishq tahayyur ke siwa kuchh bhi nahin
dil to mera hai magar zakhm tumhaare kyon hain
jam-e-khali ko surahi se ham-aghosh kiya
kuchh to batlao ye mubham se ishaare kyon hain
gar tera gham hai salamat to hai pahlu-e-nashat
tere barbaad magar gham hi ke mare kyon hain
jab bhi aai hai lagaya hai mohabbat se gale
yaad-e-mahbub ye aansu tujhe pyare kyon hain
koi sauda hai junun hai ki hai ulfat teri
tere wahshi tujhe rah rah ke pukare kyon hain
ek talluq ka nishan hai ki hai kuchh aur 'saba'
mere hi dil mein ye khanjar se utare kyon hain

37179 viewsghazal • English