aaj jo itni sargirani hai

aaj jo itni sargirani hai
is mein poshida ek kahani hai

kya yaqin ho ki aaj manega
pahle kab us ne baat mani hai

saya dhalne laga hai pedon ka
piri ab hasil-e-jawani hai

hai ragon mein to khun hai lekin
aankh mein aae to wo pani hai

surkh tan surkh-ru jo aaya hun
shahr walon ki mehrbani hai

tanz hi wo kare kare to sahi
us ki to ye bhi mehrbani hai

mamlikat teri jism-o-jaan mere
mera dil teri rajdhani hai

kis ki aamad hai aaj gulshan mein
kis ki khatir ye gul-fishani hai

sar pe chadh aaya hai jo yun suraj
ye tanazzul ki ek nishani hai

hai atal sab ke waste 'khawar'
wo jo ek marg-e-na-gahani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close