aalam ka Dar hai jinhen aalam se pahle

aalam ka dar hai jinhen aalam se pahle
kar dete hain raushan wo diya sham se pahle

jo tut gaya rishta-e-ulfat hi to kyon log
lete hain tera nam mere nam se pahle

madhosh jo ho jaun to hairat mein na padna
aankhon se pila dete hain wo jam se pahle

hai kohkan-o-'qais' ki rudad mujhe yaad
anjam se waqif hun main anjam se pahle

sayyaad se hushiyar rahen tair-e-nau-khez
dana bhi bichha dete hain ye dam se pahle

main kucha-e-jaanan mein qadam rakhta hun jab bhi
leta hun ijazat dil-e-nakaam se pahle

achchhon se pata chalta hai insan ko buron ka
rawan ka pata chal na saka ram se pahle

'rizwan' na tha ehsas musawat-e-bashar ka
insan ko paighambar-e-islam se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close