aandhi hai tez dhul se ghar aur aT na jae

By zafar-ghauriNovember 27, 2020
aandhi hai tez dhul se ghar aur at na jae
tute kiwad band karo dam ulat na jae
be-samt zindagi ka safar ban ki raat hai
nagin sa waqt das ke achanak palat na jae


ujda hua makan hai dastak na dijiye
saya koi kahin se nikal kar lipat na jae
chhota sa ghar sahi use rakhiye sambhaal ke
mulkon ki qismaton ki tarah ye bhi bat na jae


shishe ke ghar mein soch ke rakhiye 'zafar' qadam
sang-e-sada ki chuk se diwar phat na jae
82409 viewsghazalEnglish