aankh khulne pe bhi hota hun usi KHwab mein gum

By akram-mahmudOctober 24, 2020
aankh khulne pe bhi hota hun usi khwab mein gum
der tak rahta hun ek lazzat-e-nayab mein gum
soch hi soch mein tufan utha deta hun
aur ho jata hun ek mauja-e-girdab mein gum


ek sitara jo chamakta hai lab-e-baam kahin
dekhte dekhte ho jata hai mahtab mein gum
bach rahe sans to jaana hai unhin galiyon mein
aur hona hai usi halqa-e-ahbab mein gum


aise nashshe se siwa aur nasha kya hota
aap ka khwab jo ho jata mere khwab mein gum
sajda-e-shauq ke mathon se nishan mitne lage
ho gai rasm-e-azan gumbad-o-mehrab mein gum


gum to hona tha ba-har-haal kisi manzar mein
dil hua khwab mein gum aankh hui aab mein gum
41289 viewsghazalEnglish