aankh ko namnak kar jata hai aksar in dinon

By khalid-naiyerApril 23, 2021
aankh ko namnak kar jata hai aksar in dinon
aap se mil kar bichhad jaane ka manzar in dinon
hum asir-e-zulf-e-jaanan hijr ke mare sahi
raushni karte hain aksar dil jala kar in dinon


sas ke tanon se jal kar mar gai koi bahu
tazkira muflis ki beti ka hai ghar-ghar in dinon
kuchh tumhaari bewafai se bhi dil ghayal hua
kuchh to apna bhi hai bargashta muqaddar in dinon


kanch ke mahlon mein wo rahte to hain 'nayyar' magar
apne hathon mein liye phirte hain patthar in dinon
43518 viewsghazalEnglish