aap apne KHwab ka lashkar bana sakte hain hum

By asghar-juratJuly 23, 2023
aap apne khwab ka lashkar bana sakte hain hum
dil mein khwahish ho to ye manzar bana sakte hain hum
chaar-diwari ko pani se numu dete hue
sahilon par sirf apna ghar bana sakte hain hum


par tumhaare hijr ne hum ko rulaya 'umr-bhar
hum samajhte the ki dil patthar bana sakte hain hum
is qadar udne ki khwahish hai yahan 'jurat' hamein
kaghazon par titliyon ke par bana sakte hain hum


48372 viewsghazalEnglish