aap aur hum salam bhi na karen
By raziq-ansariMay 5, 2021
aap aur hum salam bhi na karen
nafraten itni aam bhi na karen
kuchh na bolen tere khilaf magar
khud se kya ab kalam bhi na karen
kar nahin paen gar hifazat aap
qatl ka intizam bhi na karen
kuchh na kuchh hum se kaam hai warna
aap yun to salam bhi na karen
log hamdardiyan jatane lagen
dard ko itna aam bhi na karen
sirf uljhe rahen siyasat mein
log kya kaam-wam bhi na karen
nafraten itni aam bhi na karen
kuchh na bolen tere khilaf magar
khud se kya ab kalam bhi na karen
kar nahin paen gar hifazat aap
qatl ka intizam bhi na karen
kuchh na kuchh hum se kaam hai warna
aap yun to salam bhi na karen
log hamdardiyan jatane lagen
dard ko itna aam bhi na karen
sirf uljhe rahen siyasat mein
log kya kaam-wam bhi na karen
82458 viewsghazal • English