aashob-e-rozgar satae to kya karen

By abul-fitrat-meer-zaidiSeptember 21, 2023
aashob-e-rozgar satae to kya karen
hum dil-jalon ko aur jalae to kya karen
zalim the ghair ghair the ghairon ka zikr kya
apne hi ghar mein chain na aae to kya karen


dushman nazar uthae to aankhen nikal len
bhai ko bhai aankh dikhae to kya karen
wo dil-nawaz jis pe abhi dil ko naz hai
dushman-nawaz ban ke dikhae to kya karen


hum chahte to hain ki sukun-ashna rahen
dil hi agar qarar na pae to kya karen
apna bana ke dost hi maren watan se dur
qismat agar ye din bhi dikhae to kya karen


'zaidi' hamein to 'ahd-e-wafa ka khayal hai
us bewafa ko sharm na aae to kya karen
61671 viewsghazalEnglish