aati nahin hai manzil-e-dar-o-rasan abhi

By musavvir-karanjaviJuly 12, 2021
aati nahin hai manzil-e-dar-o-rasan abhi
phir bhi chala hun bandh ke sar se kafan abhi
sahra-nawardiyan hain na sair-e-chaman abhi
shayad junun se dur hai zauq-e-watan abhi


sae mein hun main kya shajar-e-saya-dar ke
har qasr mere haal pe hai khanda-zan abhi
ye baat kya ki uqda-e-mushkil na khul sake
pahuncha nahin uruj pe diwana-pan abhi


mahfil mein chhed-chhad patango ye be-mahal
hai waqf-e-girya shama sar-e-anjuman abhi
hum sun sake na qulqul-e-mina ke shor mein
kuchh kah raha tha saghar-e-tauba-shikan abhi


taswir se kisi ki 'musawwir' hai ham-kalam
tham ja zara tu gardish-e-charkh-e-kuhan abhi
52273 viewsghazalEnglish