aawargan-e-ishq ko isko KHabar kahan

aawargan-e-ishq ko is ki khabar kahan
hoti hai un ko sham kahan aur sahar kahan

aaya abhi hai ashkon mein khun-e-jigar kahan
puri hui murad teri chashm-e-tar kahan

kaba kahan hai dair kahan ye khabar kahan
le jae mujh ko dekhiye ab rahbar kahan

anjam-e-ishq par hai hamari nazar kahan
lale padenge jaan ke ye thi khabar kahan

sajde ki ja hain dair-o-haram aastan-e-yar
ab itna dekhna hai ki jhukta hai sar kahan

aaegi laut kar shab-e-ishrat na phir kabhi
ye lutf raat-bhar ka hai waqt-e-sahar kahan

saqi tahi na jam de behosh main nahin
pine ko main ne pi hai magar is qadar kahan

hairat se dekhta hun haram ko main bar bar
lai teri talash mujhe khinch kar kahan

kahe ko aap aae the rindon mein shaikh ji
ab be-piye janab yahan hai mafar kahan

ai gham-nasib dil tujhe taskin kya main dun
ye raat hai firaq ki is ki sahar kahan

khana-kharab ho gae ulfat mein jin ki hum
ab puchhte wahi hain tumhaara hai ghar kahan

bahlae tujh ko kaun mere be-qarar dil
rahta hun apne hosh mein do do pahar kahan

pas-e-adab se tum se kahun kya main ai kalim
behosh aise hote hain ahl-e-nazar kahan

main to har ek shart mohabbat ki man lun
qaem rahenge aap kisi baat par kahan

kahiye wo waqt kya hua dhalne lagi hai dhup
ab wo shabab-o-husn ki hai dopahar kahan

waiz hai do ghadi ka faqat shaghl-e-mai-kashi
milti hai mujh ko pine ko aathon pahar kahan

dil bhi hai zad pe aur jigar bhi hai samne
padte hain aa ke dekhiye tir-e-nazar kahan

baqi nigah-e-yar ne rakkha hai kya yahan
dhundle se kuchh nishan hain qalb-o-jigar kahan

rukhsat shabab kya hua aandhi utar gai
wo josh wo kharosh wo ab shor-o-shar kahan

soz-e-darun ka haal main kaise bayan karun
mere baja hawas hain ai chaaragar kahan

taqdir ke siwa ise sayyaad kya kahen
kholi kahan thi aankh rahe umr-bhar kahan

muddat hui hai tur pe chhai hai khamushi
jalwe wo ab kahan hain wo ahl-e-nazar kahan

ye dair ye haram hai ye hai aastan-e-yar
ai dil hai kya salah jhukaun main sar kahan

din mein hai dilkashi na maza koi raat mein
'ishrat' wo ab shabab ke sham-o-sahar kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close