aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein
By anwarul-hasan-anwarOctober 25, 2020
aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein
kaise qarar aae dil-e-be-qarar mein
hangam-e-subh-e-id mein bhi wo maza kahan
jo lutf mil gaya hai shab-e-intizar mein
bijli giri thi kab ye kisi ko khabar nahin
ab tak chaman mein aag lagi hai bahaar mein
jab tak bikhar na jae teri zulf-e-ambarin
nikhat kahan se aae nasim-e-bahaar mein
fursat mili hai dil ko nasheman ki fikr se
phir barq kundne lagi har shakh-sar mein
phir kis ki yaad aai ki 'anwar' aaj-kal
moti piro raha hun gareban ke haar mein

88208 viewsghazal • English