aaya piya sharab ka pyala piya hua

By siraj-aurangabadiNovember 21, 2020
aaya piya sharab ka pyala piya hua
dil ke diye ki jot sin kajal diya hua
aaya hai mere qatl pe darpesh be-tarah
aaya hai mujh kun pesh wo apna kiya hua


mara hua hai khizr-e-mohabbat ki tegh ka
aab-e-hayat-e-shauq sin tere jiya hua
baitha hai takht-e-shauq pe jo ho ke be-riya
wo padshah-e-bargah-e-kibriya hua


nikla hai dil jala ke mujh aankhon se tifl-e-ashk
us shokh-e-be-jigar ka dekho kya hiya hua
dil le gaya hai mujh kun de ummid-e-dil-dahi
zalim kabhi to laega mera liya hua


nahin jab sin pas shahid-e-gulgun-qaba 'siraj'
ji par hai tang jism ka jama siya hua
48476 viewsghazalEnglish