ab to aisa koi manzar bhi dikhaya jae

By haleema-sadiya-shaguftaJune 30, 2021
ab to aisa koi manzar bhi dikhaya jae
jis se rote hue bachchon ko hansaya jae
jurm duniya mein yahi sab se bada hai ba-khuda
dil kisi ka kabhi hargiz na dukhaya jae


atomi bam ke dhamakon mein pale bachchon ko
kaise mitti ke khilaunon se lubhaya jae
kitne masum hain bhole se ye raushan chehre
in ko raunda nahin palkon pe bithaya jae


waqt-e-rukhsat ye kaha phul ne ek bulbul se
kuchh to mear-e-wafa aur badhaya jae
ab 'shagufta' ko jo tabir se dar lagta hai
us ki aankhon se har ek khwab churaya jae


46494 viewsghazalEnglish