ab wo zauq-e-tasawwuraat nahin

By muztar-muzaffarpuriMay 8, 2022
ab wo zauq-e-tasawwuraat nahin
hae wo din nahin wo raat nahin
un ki tegh-e-ada pe mar mitna
aur kuchh mani-e-hayat nahin


haal-e-dil puchhte hain hans hans kar
be-sabab to ye iltifat nahin
phir hai kya chiz kaenat agar
jalwa-ha-e-tasawwuraat nahin


hai tasawwur mein gesu-e-shab-gun
khatm hone ki aaj raat nahin
aisi naseh koi kitab bhi hai
husn-o-ulfat ki jis mein baat nahin


54030 viewsghazalEnglish