abhi farman aaya hai wahan se

abhi farman aaya hai wahan se
ki hat jaun main apne darmiyan se

yahan jo hai tanaffus hi mein gum hai
parinde ud rahe hain shakh-e-jaan se

daricha baz hai yaadon ka aur main
hawa sunta hun pedon ki zaban se

zamana tha wo dil ki zindagi ka
teri furqat ke din laun kahan se

tha ab tak marka bahar ka darpesh
abhi to ghar bhi jaana hai yahan se

fulan se thi ghazal behtar fulan ki
fulan ke zakhm achchhe the fulan se

khabar kya dun main shahr-e-raftagan ki
koi laute bhi shahr-e-raftagan se

yahi anjam kya tujh ko hawas tha
koi puchhe to mir-e-dastan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close