abhi qail hue hi the tumhaari rahnumai ke

By gyanendra-vikramApril 8, 2021
abhi qail hue hi the tumhaari rahnumai ke
tabhi anjam dekhe kuchh khudaon ki khudai ke
yun mujh se dur jaane ka safar ye raegan hoga
kabhi wo din na bhulenge teri mujh se rihai ke


dilon se jo nikalti hai mitae se nahin mitti
nahin jate kabhi ye rang dil ki raushnai ke
diye ke ek ishaare par lapak kar jaan dete hain
abhi tewar kahan dekhe hain tum ne parsai ke


koi hira koi moti wo phulon se saja bistar
batao dam kya pae ho apni munh-dikhai ke
banane mein mitane mein zara to waqt lagta hai
abhi din hi hue kitne tumhaari bewafai ke


hamesha kuchh nami baqi bachi rahti hai aankhon mein
kuchh aisa haal hai un ka ki jangal hon tarai ke
miloge khak mein tum bhi to mujh se mil hi jaoge
faqat kuchh sal baqi hain meri tum se judai ke


42321 viewsghazalEnglish