abhi to zinda hain kahte ho yara kya hoga

By muzdam-khanJune 30, 2021
abhi to zinda hain kahte ho yara kya hoga
hamare baad na jaane tumhaara kya hoga
hamara khud pe guzara nahin hai muddat se
hamare sath kisi ka guzara kya hoga


wo mere sath gharibi mein bhi bahut khush hai
shab-e-siyah jab aai sitara kya hoga
ye dekhne ke liye kyon na ek din mar jaen
hamare sath usi din dobara kya hoga


wo jis ke nisf ne pagal kiya hai duniya ko
main sochta hun haqiqat mein sara kya hoga
hamare naqsh-e-qadam se qadam milao magar
hamara kuchh na bana to tumhaara kya hoga


zaban lipti hui hai gale se murde ki
sawal ye nahin kaise pukara kya hoga
wo mil ke jae to lagta nahin mila hai kabhi
agar kinara kare to kinara kya hoga


jinhen pata tha sabhi kuchh wo log bhi na rahe
hamein pata hi nahin kuchh hamara kya hoga
pahan liya hai use aankh mund kar main ne
wagarna sochta rahta utara kya hoga


63933 viewsghazalEnglish