ada-e-dil-fareb-e-sarw-qamat qayamat hai qayamat hai qayamat shahid-e-khanjar-e-ulfat mua nahin salamat hai salamat hai salamat na karna ji kun qurban tujh qadam par nadamat hai nadamat hai nadamat jamaat mein pari-ruyon ki tujh kun imamat hai imamat hai imamat 'siraj' ab aish ke gulshan ka pani malamat hai malamat hai malamat