adawat dil mein rakhte ho zaban par pyar kya matlab

adawat dil mein rakhte ho zaban par pyar kya matlab
kabhi nafrat kabhi ulfat ka hai izhaar kya matlab

chalo hum man lete hain tumhin ko raaz-dan lekin
karo ho raaz ko ifsha sar-e-bazar kya matlab

abhi to thik se baithe nahin jaane ki jaldi hai
achanak laut kar jaane ka hai ai yar kya matlab

jo thak kar baith jata hai use maghlub kahte hain
musalsal juhd jo karta hai us ki haar kya matlab

husul-e-ilm ki khatir to zarben sahni padti hain
gharaz islah hoti hai faqat aazar kya matlab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close