agar yaqin na rakhte guman to rakhte

agar yaqin na rakhte guman to rakhte
hum apne hone ka koi nishan to rakhte

tamam din jo kadi dhup mein sulagte hain
ye ped sar pe koi saeban to rakhte

hamari baat samajh mein to un ki aa jati
hum apne sath koi tarjuman to rakhte

hamein safar ka khasara pasand tha warna
musafirat ki thakan sar pe tan to rakhte

mushahidat ka dar laziman khula hota
hum apni aankh su-e-shama-dan to rakhte

jila ke baith gae daman-e-sahar 'nasik'
sitare tut rahe the to dhyan to rakhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close