aise hote hain sar-e-sham numudar charagh jaise dhalte hue suraj ke azadar charagh ek hi aag mein jalte hain yahan hum donon mera kirdar patanga tera kirdar charagh karbala aur bhala kis ko yahan kahte hain nok-e-neza pe hai sar aur sar-e-dar charagh kab kahan kaise parakhna hai kisi ko hum ne sare haalat se rahte hain khabar-dar charagh raushni dhundhne sab log wahan jate hain yani us par andhera hai to is par charagh khud hi aandhi ki inayat pe unhen chhod diya us pe phir ye bhi tamasha hai ki be-kar charagh