aish-e-rafta ne bahut KHun rulaya hai mujhe

aish-e-rafta ne bahut khun rulaya hai mujhe
phul ki sej ne kanton pe sulaya hai mujhe

de ke ek shoala-e-guftar jagaya hai mujhe
ahd-e-khwabida ne be-dard banaya hai mujhe

zard-ru khar bhi hai aashiq-e-salma-e-bahaar
shokh kaliyon ne ishaaron mein bataya hai mujhe

tutta hi nahin rangini-e-khwahish ka tilism
ism-e-azam ka amal bhi to sikhaya hai mujhe

khun-e-mazlum akarat to nahin ja sakta
zakhm-e-gul-rez ne phulon se sajaya hai mujhe

shayad is daur ka shiw-ji hi samajh kar 'jawed'
waqt ne zist ka sab zahr pilaya hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close