ajab fasurda-dili se hayat kaTi hai

ajab fasurda-dili se hayat kati hai
qarib baith ke mayyat ke raat kati hai

kisi ki yaad ki zanjir tutti hi na thi
ye qaid-e-umr ba-sad-mushkilat kati hai

habab-dar hua khud-numa jahan qatra
saza-e-dawa-e-irfan-e-zat kati hai

uruj khak-nashinon ka bhi are tauba
tanab-e-khema-e-gardun-sifat kati hai

wo khar-zar-e-hayat aur ye aabla-pai
lahu jala ke shab-e-sanehat kati hai

hua hai yun bhi ki jhuk jhuk ke jad mohabbat ki
rafiqon ne za-rah-e-iltifat kati hai

kahin na 'barq' ki mahrumiyon ka zikr aae
adu ne ishq-o-mohabbat ki baat kati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close