ajib rang the dil mein jo aansuon mein na the

ajib rang the dil mein jo aansuon mein na the
pas-e-mizha the wo chehre ki chilmanon mein na the

jo ro chuke to yahi bolte dar-o-diwar
hue khamosh ki jaise kabhi gharon mein na the

hamari waza ne pabandiyan qubul na kin
misal-e-nashsha the hum aur sagharon mein na the

chale to apni hi raftar se ulajh ke gire
hawa ki tarah muqayyad jo faslon mein na the

chaman mein rah ke wo kante chubho liye hum ne
ki itne rang to shayad yahan gulon mein na the

fana ka khauf tha mahmez chalne walon ka
ye hausle kabhi tute hue paron mein na the

bada azim musawwir tha dubta suraj
shafaq ke rang magar bujhte rauzanon mein na the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close