ajib rona sisakna nawah-e-jaan mein hai ye aur kaun mere sath imtihan mein hai ye raat guzre to dekhun taraf taraf kya hai abhi to mere liye sab kuchh aasman mein hai katega sar bhi isi ka ki ye ajab kirdar kabhi alag bhi hai shamil bhi dastan mein hai tamam shahr ko mismar kar rahi hai hua main dekhta hun wo mahfuz kis makan mein hai na jaane kis se teri guftugu rahi 'bani' ye ek zahr ki ab tak teri zaban mein hai