aks-e-gul hun ki naqsh-e-hairat hun
By khurshid-rabbaniNovember 4, 2020
aks-e-gul hun ki naqsh-e-hairat hun
aaine main teri zarurat hun
gunjta hun dilon ke gumbad mein
ek aawaza-e-mohabbat hun
na-rasai mera muqaddar hai
zer-e-lab ek bayan-e-hasrat hun
dil-e-asuda hai watan mera
main tamanna-e-dasht-e-ghurbat hun
main hun ek paikar-e-khayal-o-khwab
aur kitni badi haqiqat hun
garche main harf-e-khak hun 'khurshid'
phir bhi zeb--ekitab-e-fitrat hun
aaine main teri zarurat hun
gunjta hun dilon ke gumbad mein
ek aawaza-e-mohabbat hun
na-rasai mera muqaddar hai
zer-e-lab ek bayan-e-hasrat hun
dil-e-asuda hai watan mera
main tamanna-e-dasht-e-ghurbat hun
main hun ek paikar-e-khayal-o-khwab
aur kitni badi haqiqat hun
garche main harf-e-khak hun 'khurshid'
phir bhi zeb--ekitab-e-fitrat hun
93006 viewsghazal • English