aksar Than bhi jati hai

By badr-muneeruddinAugust 20, 2023
aksar than bhi jati hai
bigdi ban bhi jati hai
us ke nam ki nisbat se
gardan tan bhi jati hai


‘ijz ka daman chhoden to
hurmat-e-fan bhi jati hai
jab insaf nahin milta
hubb-e-watan bhi jati hai


sukh milta hai yaron mein
aur thakan bhi jati hai
wo jae to us ke sath
mashq-e-sukhan bhi jati hai


61615 viewsghazalEnglish