alag-thalag rahe kabhi kabhi sabhi ke ho gae

By mohammad-ahmadNovember 6, 2020
alag-thalag rahe kabhi kabhi sabhi ke ho gae
junun ka hath chhut gaya to be-hisi ke ho gae
talab ki aanch kya bujhi badan hi rakh ho gaya
hawa ke hath kya lage gali gali ke ho gae


bahut dinon basi rahi teri mahak khayal mein
bahut dinon talak tere khayal hi ke ho gae
charagh-e-sham bujh gaya to dil ke dagh jal uthe
phir aisi raushni hui ki raushni ke ho gae


sukhan-wari ne hijr ko bhi sham-e-wasl kar diya
teri talab siwa hui to shairi ke ho gae
17247 viewsghazalEnglish