alfaz hain ye sare usi ki zaban ke

By mohan-seerat-ajmeriNovember 7, 2020
alfaz hain ye sare usi ki zaban ke
pahchanta hun tir main us ki kaman ke
har bund pe guman tha moti ki aab ka
aankhon mein ashk aae badi aan-ban ke


har har ada-o-naz ki qimat the jaan-o-dil
saude bahut hi mahnge the us ki dukan ke
us ke ajab sawal the mere ajab jawab
parche sabhi kharab hue imtihan ke


gham se ziyaada aur na behtar laga koi
unwan sainkadon the meri dastan ke
kis sadgi se us ne ye 'sirat' kaha mujhe
tare bhi tod sakte ho kya aasman ke


26736 viewsghazalEnglish