altaf-o-karam ghaiz-o-ghazab kuchh bhi nahin hai tha pahle bahut kuchh magar ab kuchh bhi nahin hai barsat ho suraj se samundar se uge aag mumkin hai har ek baat ajab kuchh bhi nahin hai dil hai ki haweli koi sunsan si jis mein khwahish hai na hasrat na talab kuchh bhi nahin hai ab zist bhi ek lamha-e-sakit hai ki jis mein hangama-e-din garmi-e-shab kuchh bhi nahin hai sab quwwat-e-bazu ke karishmat hain 'rahi' kya chiz hai ye nam-o-nasab kuchh bhi nahin hai