apne hi ghar ke fard agar dushmani karen kis aasare pe hum ye basar zindagi karen yaro qadam qadam pe andhere hain hukmran suraj kidhar ugaen kahan raushni karen ladwa rahe hain ram ko jo bhi rahim se in mazhabi khudaon se kya dosti karen ai dosto tanaw mein jina haram hai had se badhen jo zulm to hum sar-kashi karen aaram ke wasile to lakhon jahan mein hain dil ka sukun chahiye to bandagi karen kitna azim dars rasul-e-khuda ka hai dushman se bhi milap karen aashti karen zulmat ye wo nahin hai jo suraj se dur ho apna hi dil jala ke chalo raushni karen ghut hi na jae dam kahin dil ke ghubar se 'anwar' zinda rahna hai to shairi karen