apni mohabbaton ka ye achchha sila mila
By qadir-siddiqiApril 30, 2021
apni mohabbaton ka ye achchha sila mila
jo bhi mila mujhe wo mujhi se khafa mila
tujh se bichhad ke bhi main na tujh se bichhad saka
jis rah par gaya main tera naqsh-e-pa mila
ahl-e-karam ki bhid se guzri hai zindagi
tujh sa magar koi na karam-ashna mila
duniya jafa-shiar rahi hai ye sach sahi
ai rah-naward rah-e-wafa tujh ko kya mila
is ko quyud-e-aql ne diwana kar diya
bahar mila mujhe to wo achchha-bhala mila
khushiyan milin to aankh jhapakne ki der tak
gham jo mila mujhe wo bahut der-pa mila
is mukhtasar hayat mein kis kis ko roiye
har marhala hayat ka sabr-azma mila
nadida ek kashish hai nahin jis ka koi nam
dil se nigah tak ek ajab silsila mila
be-e'tinaiyon se mili tab-e-zabt-e-gham
teri nawazishon se mujhe hausla mila
tera karam hai teri inayat hai ai junun
main jis ko dhundhta tha mujhi mein chhupa mila
'qadir' bahut nihaal hai apni shikast par
bazi lagai dil ki to us ka maza mila

91763 viewsghazal • English