are ye adl ye insaf al-aman un ka ki har zamin meri aur har aasman un ka dilon mein jin ke gham-e-ahl-e-karwan na raha pahunch sakega na manzil pe karwan un ka hazar kaba-e-iman wahin-wahin pe bane qadam pada tha chaman mein jahan-jahan un ka asir-e-jalwa-e-manzil ki qaid ki khatir bichhega dam-e-asiri kahan kahan un ka dilon ko jit ke shahanshah-e-jahan ban ja ki ye jahan hai tera na ye jahan un ka kahan pe kijiye sajda ki ban gai 'amjad' jabin-e-shauq meri sang-e-astan un ka