asar na kam ho kabhi nala-e-rasa tera
By betab-azimabadiJuly 31, 2020
asar na kam ho kabhi nala-e-rasa tera
rahe badha hua har aan hausla tera
padhi hai aariz-o-kakul ki dastan main ne
suna hai main ne fasana zara zara tera
ai ashk-e-shauq tujhi se hai zindagi dil ki
fuzun hai chashma-e-haiwan se martaba tera
tamam rah hai faiz-e-qadam se nurani
hai mahtab zamin par ki naqsh-e-pa tera
qadam ko tez kar is se ziyaada ai 'betab'
nikal gaya hai bahut dur qafila tera

28321 viewsghazal • English